TRANSLATE INTO

Friday, April 30, 2010

mai.........


bhulna to teri ada thi
ab fitrat ban chuki hai
bhuulaye jane ka gum nahi hame
ab to chot khane ki aadat ho chuki hai



chhor kar apni manjil ko
jo har lamha tere pichhe daura
jo hai tujhe paane ko bekarar
wo pagal hu mai
tujhpe jee bhar kar
barasne ko hai jo betaab
ek arse se apni bundo ko chhupaye
aasma me chhaya badal hu mai
jo ab tak hai ankahi aur ansuljhi
waqt ke daayre me simti
ek gutthi hu mai
jo suljhayi na gayi abtak
wo ansuljhi paheli hu mai
tere intezaar me raaho pe palke tikaye
khada raahgir hu mai gaur se dekh sayad
tujhe bhi kuchh yaad aaye
ki kaun hu mai
ek baar jhaank apne dil me
tere ateet ka ek hissa hu mai
jise bhool kar bhi
bhool na payegi ye duniya
wo ek kissa hu mai

"KUMAR"

No comments:

Post a Comment

Followers