TRANSLATE INTO

Friday, April 30, 2010

mai.........


bhulna to teri ada thi
ab fitrat ban chuki hai
bhuulaye jane ka gum nahi hame
ab to chot khane ki aadat ho chuki hai



chhor kar apni manjil ko
jo har lamha tere pichhe daura
jo hai tujhe paane ko bekarar
wo pagal hu mai
tujhpe jee bhar kar
barasne ko hai jo betaab
ek arse se apni bundo ko chhupaye
aasma me chhaya badal hu mai
jo ab tak hai ankahi aur ansuljhi
waqt ke daayre me simti
ek gutthi hu mai
jo suljhayi na gayi abtak
wo ansuljhi paheli hu mai
tere intezaar me raaho pe palke tikaye
khada raahgir hu mai gaur se dekh sayad
tujhe bhi kuchh yaad aaye
ki kaun hu mai
ek baar jhaank apne dil me
tere ateet ka ek hissa hu mai
jise bhool kar bhi
bhool na payegi ye duniya
wo ek kissa hu mai

"KUMAR"

Tuesday, April 20, 2010

mujhe darr hai......

मौसम  की  बेरुखी   में  खुद  को  छुपाते
तो  कभी  बुझी  राख  की  ढेर  में  गर्माते
कभी  ठंडी  सुखी  हवाओ  से  बचकर
तो  कभी  ओस  से  भीगी  पत्तियों  के  लेके  साए
मैंने  उसे  ठण्ड   से  लड़ते  देखा  था
वो  तनहा  ही  प्रकृति  के  आगे  खड़ा  था
ठण्ड  गरीबी  और  अपनी  लाचारी  जैसे
कठोर  और  बलिष्ठ  दुश्मनों  से
वो  अकेले  आखिरी  सास  तक  लड़ा  था

पर  सायद  फिर  भी  वो  खुश  था
गौरवान्वित  था  अपनी  खुद्दारी  पे
संभवतः  ये  ख़ुशी  एक  व्यंग्य  थी
एक  ताना  था  उसकी  लाचारी  पे

उस  मृत  की  जीवंत  मुस्कान  एक  ताना  थी
उस  गरीबी  बेबसी  लाचारी  पे
जो  जीते  जी  उसे  रुला  न  पाई
वो  अविरल  हंसी  एक  सवाल  थी
निरंतर  बढती  अर्थव्यवस्था  से
जो  उसे  दो  जून  रोटी  खिला  न  पाई

यह  वाक्य  एक  कलंक  था  हर  उस  शख्स  पे
जो  ऐश  और  सुकून  जुटाने  की  दौड़  में
किसी  को  भूखा  और  नंगा  छोड़   देते  है
झूठे   दिखावे  में  और  दिखावे  की  होड़  में

इन  अन्धो  के  शहर  में हर  अगले  पल
मानवता  मनो  कलंकित   होती  जा  रही  है
इंसानियत  और  सहानुभूति   जैसे  शब्दों   की
मानो  अहमियत  खोती  जा  रही  है

हद  है  यह  अमानवीयता  की
लोग   आज  भी  भूखे ,नंगे  और  बेघर  है
सदमे  में  न  आ  जाये  उपरवाला  ये  देखकर
मुझे  तो  बस  इस  बात  का  डर  है

"कुमार"
20-04-10

a tribute..........

this poem is dedicated to my grandfather who died from cancer but i feel he is somewhere here only with me n her.........

aapse bichhud kar dar lag raha tha
ki kahi aapki judai me ro na du
muddato ki koshish ke baad
khud ko sambhala humne
par ek dar ab bhi tha
ki aapse dur rehakr
kahi mai
aapko kho hi na du
us uparwale ke saamne meri aas
dhari ki dhari reh gayi
jis pal pata chala ki aap
kahi dur chale gaye ho
meri to maano saanse hi thehar gayi
ab to bas aap ho aapki tasweer hai
aashirwad hai aapka aur aapki yaadien hai
hamari yaado me bas aap ho
aur aapki hi baatien hai
koshish hogi ki aapki
har ummeed par khara utru
kitni bhi kathin ho dagar manjil ki
mai awiral bas badhta chalu

"KUMAR"
26-11-08

tu hogi mere dil ki raani.........

sukh gayi hai aankhien
sukh chuki hai man ki wo daali
mit gayi wo chahat ki bagiya
jis baag ke the tum maali
aankho me aansu rah gaye
aur rah gaya hai dil ye sawali
khamosh hai ye jubaa
aur bolne ko hai ab khamoshi
ye rukhi sard bayar
aur shaswat yaad tumhari
mil kar bichadne ki wo
ghadi dukhdayi
in chand ghadiyo me humne
saari yaadie hai dohrayi
yaado ki bujhti raakh ne
uljhayi baatien saari
na kabile bayan hai
ab to halat ye hamari
us allah ke sajde me jab bhi jhukta hai ye sar
maangte hai hum salamati tumhari
kabhi jo hongi tujhse najre chaar
samajh jaaogi tum baatien saari
sulajh jaayengi uljhane tumhari
dur ho jaayenge saare gile shikwe
yaad aayenge pal wo bhule bisre
sayad
to dikh jaayega tujhe meri aankho ka paani
yaad aayengi tujhko chand baatein purani
sayad puri hogi tab ek adhuri kahani
ban jaaunga mai tere dil ka sehjada
aur to hogi mere dil ki raani...........

"KUMAR"
19-04-10

mai aur tu........

tu upwan ki chanchal kumodini hai
mai bhramar to bas deewana tera hu

tu ugte suraj ki lalima hai
mai girta raat ka andhera hu

tu kalkal karti nadiya hai
mai tere tire khada taruwar hu

tu murat hai ek saundarya ki
mai murakh hath ka samandar hu

tu mere dil ki raani hai
mai nadan tera sewak hu

tu shroat hai meri rachna ka
mai adna sa lekhak hu

"KUMAR"
19-04-10

Monday, April 19, 2010

aas...........

क्यूँ लोग कहते है की प्यार
इजहार का मोहताज नहीं होता,
कौन कहता है की खामोश जुबा पे
कोई गहरा राज नहीं होता;

मेरे अनकही प्यार के इजहार की आस में
तन्हा ही हर लम्हा हर पल जलता हूँ,
रख कर दिल की बातों को जुबा पे,
इजहार को हर रोज घर से निकलता हूँ;

पर ना जाने क्यूँ वो सुनती ही नहीं
इस अनकही प्यार की कहानी को,
मै तो देखता हु उसकी आँखों में एक सैलाब
पर क्यों वो देख नहीं पाती मेरी आँखों के पानी को;

सुना है प्यार नाम है अनकही बातों को समझने का
पर वो मेरी खामोशी समझती ही नहीं
मन हमें सलीके मालूम नहीं इजहार के
पर खुद वो भी हमसे कुछ कहती ही नहीं

मन की हमने उन्हें पाया ही नहीं
फिर भी डर है की उन्हें खो न दू,
माना वो कभी थे ही नहीं वो हमारे
फिर भी लगता है उनकी जुदाई में रो न दू;

अब तो बस साथ है आप दोस्तों का
वरना जिंदगी में वीरानी छा जाती
शुक्रिया की संभाला आपने मुझे वरना
मेरी दुनिया तन्हाई में खो जाती|
"KUMAR"
19-04-10

inayat..........

kahne ko to tujhse
dil me hai bahut si baatein
magar mehsus hoti aaj mujhe
lafzo ki kami si hai
tere saath hai ye aankhien
par phir bhi inme ek
anchahi nami si hai

naa jaane tujhse ye
kaisa rishta hai mera
ki mai tere saath hu
par saath mere tanhai hai
jab bhi sochta hu
naam is rishtey ka
dil se nikalti bas
ek hi duhai hai
ki koi kya naam dega
is rishtey ko
jisme bhawnao ki
itni gehrayi hai
sab kuchh khokar
hasne wali ye aankhien aaj
tujhe paane ke ek
ehsaas se bhar aayi hai

badi himmat se
bade naajo se
maine dil ki baato ko
kore kagaj pe utara hai
chura kar kuchh behtarin
rang khyalo ke
maine in alfazo ko sanjoya hai
jod kar lamha lamha
apne khwabo ko
maine is aasar ko
tere liye sanwara hai

kabhi khwabo me to
kabhi khyalo me
tere ab mera har lamha gum hai
par naajaane kyu
ab ye mera dil
teri najro ki inayat se mehroom hai

"KUMAR"
19-04-10

zinda hai......

zinda hai aaj bhi tera pyar
mere khwabo me
mere khyalo me
aaj bhi har shaam-o-sehar
kabhi mehfil me to
kabhi tanhai me
tujhko hi mehsus karta hu
har shaam ab bhi
teri hi raahein takta hu
tere dhundhle aks ko
kabhi ateet ki gehraiyo me
to kabhi sanso ki gehraiyo me
dhundhta hi rehta hu
naa jaane kab kis mod pe
mil jaayega tera saath
bas yahi sochta hu
aur tanha hi chal padta hu
par har more
pichhe chhut jaati hai
mai tab bhi
tere aane ki ummeed kayam rakhta hu
tum wapas naa aaogi
is baat ka ilm hai mujhko
par mai bewakoof
tera intejaar karta hu
raah chalte raahgeer bhi
ab mujhe pagal kahte hai
aur mai naadan yeh baat
sweekar karte hu
mai tujhe khokar bhi
khone ke ek ehsaas se darta hu
log kahte hai ki mai kyu jinda hu
wajah to bas ye hai ki mai..
.
.
tujhse pyar karta hu
"KUMAR"
19-04-10

priye tu..........

priye tu badi juthi hai re
har pal inqaar karti hai
sach kehti hai teri sakhiya
tu bas iqraar se darti hai

jara dekh kabhi apni aankho me
tu har pal pyar ko tarasti hai
naa jaane kis baat ka dar hai tujhe
naa jaane kyu tu pyar se darti hai

pura iqraar na sahi
tanik ishaara to de
teri chahat ki gehraiyo me gum hu mai
apne mohabbat ka kinaara to de

maula meri muddato ke intezaar ka
mujhe kuchh to sila de
wo jo meri janmo ki khwahish hai
wo jo meri eklauti tamanna hai
bas ek baar ussse mila to de.........
"KUMAR"
19-04-10

Sunday, April 18, 2010

4 someone so special.......

i was walking thru the streets in the night
i was walking under the street lights
no one was there wiht me n my lonelyness
except those freezing winds to fight

my eyes were lukin for you
they were tryin to see beyond the fog
i waited there and waited too long
but still u were out of my sight

i wont ever claim you
as u gave ur best to this relationship
i can't say i was never wrong
but on the other hand u too were not always right

now...
the darkness was just out of sight
and again it was an awesome dawn
and my heart was praying with whispering lips
only for your future to be great and bright..........
"KUMAR"
18-04-10

tum hi to ho............

tum the bas tumhi to the
chand lafzo me kya kahu
ki kya the tum
andheri kaali syah raato me
tanha khud ko jalaane ka bahana the tum

ek arse se khaamos
palko me chhupaa rakha tha jise humne
wo najrana the tum
waqt ki gehraiyo me ghum
koi hansi fasana the tum

mere khwabo ki haqiqat the tum
ya koi khwab anjaana the tum
kisi aur ki khwahish the tum
ya meri hi apni tamanna the tum

thakkar jindagi ki in raaho se
jis god me sar rakhkar
mai pehro sukun ki neend sota
wo sirahna the tum

mai jis kaandhe pe sar rakhkar
jee bhar kar ro sakta
jo mujhe dhadas bandhata
wo mehfuj thikana the tum

meri hansi meri khusi
mere aansu mere jajbat the tum
meri aankho me meri palko pe
mere sapno me meri har baat me the tum.......
"KUMAR"
18-04-10

sanwedna................

dekh ke pidito ko jaag uthti thi jo sanwedna
naa jaane ab kaha gum ho gayi hai wo sanwedna
dekh ke garibi ko bahte the aansu jin aankho se
naa jane kyu sukh gaya hai ab aansuo ka wo jharna

kyu nahi bahte aansu netao ki aankh se
kyu nahi jalte wo log gareebi ki aag se
kyu bache hai wo log jungleraaj ke atyachar se
kyu bache hai wo bhrastachar ki maar se

kyun har badalti sarkar ke saath
bhrastachar nahi ghatta
kyu gareebo ke saath
bhrastachari nahi marta

jala daalo un kameeno ko
jo des ko barbad karte hai
fir mila ke kandhe se kandha
aao desh ko aabad karte hai

fir na gareebi hogi
na aatank hoga
na koi raja hoga
na koi rank hoga

har ghar me khushali hogi
har khet me haryali hogi
har din dashahara hoga
har raat deewali hogi

hogi ek naye yug ki shuruat
jab honge aap mai aur BJP ek saath............
"KUMAR"
18-04-10

pyar.......

pyar dilo ko jodne ka raasta
ya ek khaamos samjhauta
pyar dukho ka saagar
ye ho gaya agar
tadapna padta hai pal pal harpal
intezaar me jindagi jaayegi guzar

pyar majaa ya sajaa
ye dilo ki khataa
pyar jindagi ye dillagi
bewakoofi ya bandagi
pyar ek khel
ya dilo ka mel

pyar naadani
ya hansi kahani
pyar aur kuchh nahi
bas ek khataa anjaani....
"KUMAR"
18-04-10

hasrat........

apna mulk ho sabse aage
har dil ki ye hasrat hai
unmukt gagan me le jaau watan ko
har dil ki ye chahat hai

kuchh karu aisa ki yeh watan
apni maati ki karmathta par fule
kuchh karu aisa ki log
hamari mehnat ko kabhi na bhule

kya hua jo hum gareeb hai
ab bhi humme himmat hai
unmukt gagan me le jaau watan ko
har dil ki ye chahat hai

buland hai hum sab ka housla
par naa jaane kyun"sone ki chidiya aahat hai"???
kisse puchhu kaun batayega
kyun aakhir kyun "sone ki chidiya aahat hai"??

"KUMAR"
18-04-10

its 4 u..........

devdaas ki paro ho
ya hochand ki chandani
logo ke dil ki raani ho
ya ho pariyo ki kahani

tum husn ka gulaab ho
ya chandani me khilta kamal
kisi aashiq ki aashiqi ho ya
aasma me chhaya badal

ye sangemarmar sa badan
ye jheel si aankhien
ye moti jaise daant
uspar ye gulaabi gaal
aapki julfein
jaise resham
aapki aankhien jaise neelam
insab ke karan hi to
aapke deewane hue hai hum

aapke husn ka koi jawab nahi
na hai koi khubsurat aapsa kahi
aapki hasi aapki khusi me meri saan hai
khyal rakhiyega khudka
aapki jaan me meri jaan hai

"KUMAR"
18-04-10

vyatha..............

vyarth ki vyatha se man
vyathit hua jaata hai
aa bhi ab lautkar
ki tum bin jiya nahi jaata hai

jab bhi yaad aata hai wo majar
aankhien meri bhar aati hai
aa bhi jaao ab lautkar
ki teri yaadein humko
saari-saari raat jagati hai

ek tamasha ban gayi hai jindagi
log dekhte hai aur muskurate hai
jab kabhi gherti hai tanhai mujhko
aankho se aansu aviral bahte jaate hai

tere intezaar me in aankho ne
neend ka daman chhod diya hai
saaya hai bas gamo ka tanhai ka
khusiyo ki mehfil ne
humse rishta tod liya hai

tanha ye jindagi ka safar
ab kaate nahi katta hai
aabhi jaao ab laut ke
in baho ki aagos me
ki tere bin
har pal bojh sa prateet hota hai
"KUMAR"
18-04-10

Friday, April 16, 2010

need a title can u suggest me one



TUM THAAM LO AAJ
AAKAR MERA DAMAN
AUR KHUD KO
MUJHME KHO JAANE DO
BANA LO MUJHE AAJ APNA
AUR KHUD KO
MERI BAN JAANE DO

JO AAJ NA AATA YE PAL
TO IS PAL KI KHWAHISH
TAUMRA REHTI
DEKH PANE KO
IS MANJAR KO
YE AANKHIEN HAMESHA TARASTI
DEKH LENE DO ISE JEE BHAR KE
AUR MERI PYAS KO BUJH JAANE DO


BAN JAAO AAJ TUM BAATI
AUR MUJHE DEEPAK BAN JAANE DO
JAL JAAYE HUM DONO EK HOKAR
AUR IS RAAT KO ROSHAN HO JAANE DO


AB AUR JEENE KI KHWAHISH NAHI HAI HAME
BAHA DO APNE PREM KA SAGAR
AUR MUJHE DOOB KE MAR JAANE DO
YA FIR BAN JAAO MERI TAMANNA
AUR DIL ME APNE TUM MUJHE UTAR JAANE DO

BAN JAO AAJ TUM MERI RADHA
AUR MUJHE TERA SHYAM BAN JAANE DO
DIL SE BAJAU AAJ FIR YE BAANSURI
AUR IS BAANSURI KI DHUN ME
TUM KHOD KO KHO JAANE DO


HATA DO AAJ SAR SE
TUM APNA YE AANCHAL
FIZAO ME FIR SE
BAHAR KO CHHA JAANE DO
BIKHER DO APNI YE ZULFEIN
AUR BAMAUSAM BARSAT HO JAANE DO
..........TO BE CONTINUED.........
"KUMAR"

missing that........

fiza ki chilman me faile
ye rang kitne saare hai
bhar lo ye najare apni aaknho me
ki ye rang kitne pyare hai

kaid kar lo
ye saare najare apni aankho me
warna dil me
ek tiis
ek malaal reh jayega

ye naachna pedo ka
gungunana chidiyo ko
yu madmast hokar
prakriti ka saaj bajana
sehar ki tang galiyo
me kahaa mil paayega
"KUMAR"

Wednesday, April 14, 2010

rishte............

chand faasle jo rishto ke darmiya reh jaate hai
jinhe tay karne me logo ki umre beet jaati hai
waqt lamha dar lamha yu hi gujar jaata hai
aur har rishtey ki ek alag kahani ban jaati hai
kai rishte aise more par aakar fans jaate hai
ki gaanthe khulne me doriya bhi tut jaati hai
kuchh rishte jinka safar ungli thaam kar suru kiya jaata hai
kuchh lamhe jinhe bas ek baar jiya jaata hai
kuchh baatein jo khwabo se bhi jyada sanjida hoti hai
yaad aakar aksar humko rula jaati hai
kuchh rishte jinme kahi koi faasla nahi hota
kuchh khaamos aankhien jo chuppi me hi sab keh jaati hai
kuchh rishte kuchh ehsaas ek sapne sarikhe hote hai
to kuchh kadwi sachchhai risthe ki buniyade hila jaati hai
kuchh beete shikwe labo pe muskaan bikher jaate hai
to kabhi ateet ka koi hansi lamha aankho ko nam kar jaata hai
sab jaante hai in rishto ki sachchhai ko
par apni bhawnao par kaha koi jor rakh pata hai
lakh roko jajbato ko par aankhien sab keh jaati hai
aur fir ye kahaniya kabhi rote rote hansati hai to kabhi hanste hanste rula jaati hai
"KUMAR"
14/4/10

hum se mai ka safar---HAAL-E-DIL



haal-e-dil hum baya kare bhi to kaise
unse shikwa kare bhi to kaise
mohabbat to humne kiya
ye meri khataa thi
unhe saja de bhi to kaise
chahat itni hai ki hum
unko bhool na payenge
aur agar naa bhule to aalam ye hai
ki un bin hum jee na payenge
ab saans bina jeevan
sweekar kare bhi to kaise
hui hai ye khataa to ab
hum inkaar kare bhi to kaise
unki chahat koi aur hai
ye jaankar hum unse
pyar kare bhi to kaise
unse door rehke jindagi
basar kare bhi to kaise
mai saas bhi lu to
jaise seene me kuchh chuubhta hai
mai chup hu dil gumsum hai
ab pathrayi ankho se ye sach
hum dekhe bhi to kaise
dil kuchh sunne ko raaji nahi
ab koi samjhaye bhi to kaise
dil ne kabhi meri maani hi nahi
ab aaj iske jakhmo ko
sahlaye bhi to kaise
jis chahat ki khaatir sabko ruswa kiya
uske kisse sunaye bhi to kaise
is athaah dard ko ab jataye bhi to kaise
aansu hai ki ab aankho me samate
sare aam inhe bahaye bhi to kaise
waqt ki dhul se dhumil
unki chhavi ko ab nihare bhi to kaise
sochta hu chikh chikh kar pukaru usko
par lekar uska naam use bulau bhi to kaise
kimkartavyavimudhta ki is duvidha se
khud ko bachaye bhi to kaise
ab ek faisle ki kshamta nahi hai mujhme
jindagi puri ye hum bagair faisle ke
bitaye bhi to kaise
log baag kehte hai bhul jaa is kahani ko
par is more par aakar hum
apni chahat ko juthlaye bhi to kaise
ab unhe apna banaye banaye bhi to kaise...
jo hai ye faasla ab darmiya
inhe tay kare bhi to kaise
ek hum ki aarju me jindagi gujaar di
ab hum se mai ka safar kare bhi to kaise..............
"KUMAR"
14/4/10

Sunday, April 11, 2010

sochta hu keh du ki tu bewafaa hai

mere tan ko chhukar gujarne waali har hawa
mujhse tera pata puchhti hai
kinaare par aane ko betaab har lehar

mujhse tera pata puchhti hai
tere intezaar me betaab meri har dhadkan
mujhse tera pata puchhti hai
tujhe dekhne ko tarasti bekraar aankhien
mujhse tera pata puchhti hai
ek pal lagta hai ki baya kar du saari haqiqat
bata du jag ko apne chahat ki asliyat

par agle hi pal ruk kar sochta hu
ki kaise bata du sabko ye sachchhai
jis pyar ki kasme khaate the

kaise karu uski burai
dil darta hai thamm sa jaata hai
hamare rishtey ki sachchhai se ye

saham sa jaata hai
sochta hu keh du sabse ki
teri har muskan juthi hai

aur juthi teri har ada hai
sochta hu keh du ki
mere pyar ka aitbaar nahi tujhe
sochta hu keh du ki haa
tu bewafaa hai
"KUMAR"
n/a

MAAERI....................................

maaeri meri raatien ab bhi jalti rehti hai
tere intezaar me tanha gujarti rehti hai
ek aas lagi hai ab bhi dil me
tabhi to aankhien ab bhi teri raah takti rehti hai
lakh samjhata hu dil ko
par samajhna kaun chahta hai
ye jaanta hai ki tum wapas na aaogi
par khud ko samjhana kise aata hai
chahta hu ki koi aakar samjhaye meri aankho ko
jo har pal tera intezaar karti hai
par kaun aakar samjhayega in labo ko
jo aansuo ki baaris ke baad bhi pyasi rehti hai
kise hai itni fursat ki mujh pagal ko samjhayega
matlab ki is duniya me kaun mere zakhmo ko sahlayega
kaun samjhaye meri madhosh najro ko
jo begano ki bheed me tujhe dhundha karti hai
kaun samjhaye meri baawri aankho ko
jo har raat tera intezaar karti hai..............
"KUMAR"
n/a

TERE SANG JEENA CHAHTA HU MAI

tere sang likhi apni umra ko jeena chahta hu mai
apni kismat ko ekbaar aajmana chahta hu mai
khwabo me jee bhar kar chaha hai tujhko
par aaj chahat se aage jaana chahta hu mai
teri gesuo ki lato ko suljhana chahta hu mai
teri har uljhan se ulajhna chahta hu mai
tere khwabo me basna hai mujhe
tujhe palko me chhupana chahta hu mai
tujhe pakar khone ke ek ehsaas se darta hu mai
fir bhi tujhe apna banana chahta hu mai
tu bhi kisi ki deewani ho sakti hai
is baat ka andesha hai mujhko
par aaj naseeb se takrana chahta hu mai
tujhse kiya har khaamosh wade ko
ab nibhana chahta hu mai
jaagti aankho se maine jo chand khwab dekhe the
har us khwab ko jeena chahta hu mai
tere kangan ki khanak se har subah jaagna chahta hu mai
tere maathe pe suraj sajana chahta hu mai
tere sang khwabo me bitayi
ek shaam ka sar kuchh yu hua mujhpar
ki tere sang jeevan bitana chahta hu mai
apno ki khaatir bahut mar chuka mai
apni khaatir tere sang jeena chahta hu mai
tujhko paane ki khaatir
har bandhan todna chahta hu mai
jaat paat ki ochhi deewar se is jag ko
upar uthana chahta hu mai
nihswarth prem ko is duniya ka
mul mantra banana chahta hu mai
har dil me pyar ka alakh jagana chahta hu mai
tere pyar ki khaatir aaj
apne junoon se aage jaana chahta hu mai
jeevan se pare tere pyar ki chhao me jeena chahta hu mai.........
"KUMAR"
10-04-10

Wednesday, April 7, 2010

here comes another one..................

its a poem which will be used to say my words to her if i'll be finding my self unable to say her whats in my heart..........................

WITH EVERY BREEZE OF SPRING

I CAN FEEL YOU

EVEN IN THE DARKNESS

I THINK I CAN SEE YOU

I CAN FEEL YOU WALKING THROUGH

THE COBBLED LANES OF MY DREAMS

MAY BE YOU WONT BELIEVE ME

BUT I AM TELLING JUST AS IT SEEMS



EVERY MOMENT IN THE LONELYNESS

I FELT YOU WERE WITH ME

I KNOW YOU WONT EVER COME TO ME

BUT JUST THINK OF IT

FOR ME YOUR MEMORIES ARE ENOUGH

TO MAKE MY EVENINGS DEWY



EVERY SOLVED RIDDLE OF OUR RELATIONSHIP

MADE ME FEEL MYSELF CLOSER TO YOU

WITH EVERY MOMENT I WAS LOSING MYSELF

JUST BECAUSE I LOVED WINING YOU





I DNT KNOW WETHER

I DESERVE YOUR LOVE OR NOT

BUT I'LL KEEP LOVING YOU

FROM DEPTH OF MY HEART



I DNT KNOW EITHER I'LL HAVE YOU OR NOT

IT NEVER MATTERS FOR ME IF U COME TO ME OR NOT

THE ONLY THING I KNOW IS THAT

I'LL LOVE YOU TILL TWILIGHTS OF MY LIFE ARE OFF



THE ONLY THING I KNOW

IS THAT I LOVE YOU

AND TILL THE LAST BREATH INSIDE ME

I PROMISE I'LL SERVE YOU

ONE DAY I'LL MAKE YOU FEEL HOW MUCH I LOVE YOU

AND WILL MAKE YOU REALISE THAT

YOU WILL NEVER HAVE FOR ANYONE

AS MUCH LOVE I HAD FOR YOU



THANKS FOR BEARING THIS RELATIONSHIP

THANKS FOR YOUR LOVE TO ME AND MY FRIENDSHIP

THANKS FOR EVERYTHING U SHARED

THANKS FOR EVERY MOMENT U CARED

THANKS FOR MOMENT U WERE WITH ME

AS IT ALL IS A DEBT UNPAID FOR ME



YOU ARE THE ONE I HAD WISHED TO LIVE WITH

YOU ARE THE ONE WHO WAS AN INTEGRAL PART OF MY THOUGHTS

YOU ARE THE ONE I CAN'T LIVE WITHOUT

AND

.

.

YOU ARE THE ONE MY LIFE IS ALL ABOUT........................
"KUMAR"

Followers