TRANSLATE INTO

Sunday, April 11, 2010

TERE SANG JEENA CHAHTA HU MAI

tere sang likhi apni umra ko jeena chahta hu mai
apni kismat ko ekbaar aajmana chahta hu mai
khwabo me jee bhar kar chaha hai tujhko
par aaj chahat se aage jaana chahta hu mai
teri gesuo ki lato ko suljhana chahta hu mai
teri har uljhan se ulajhna chahta hu mai
tere khwabo me basna hai mujhe
tujhe palko me chhupana chahta hu mai
tujhe pakar khone ke ek ehsaas se darta hu mai
fir bhi tujhe apna banana chahta hu mai
tu bhi kisi ki deewani ho sakti hai
is baat ka andesha hai mujhko
par aaj naseeb se takrana chahta hu mai
tujhse kiya har khaamosh wade ko
ab nibhana chahta hu mai
jaagti aankho se maine jo chand khwab dekhe the
har us khwab ko jeena chahta hu mai
tere kangan ki khanak se har subah jaagna chahta hu mai
tere maathe pe suraj sajana chahta hu mai
tere sang khwabo me bitayi
ek shaam ka sar kuchh yu hua mujhpar
ki tere sang jeevan bitana chahta hu mai
apno ki khaatir bahut mar chuka mai
apni khaatir tere sang jeena chahta hu mai
tujhko paane ki khaatir
har bandhan todna chahta hu mai
jaat paat ki ochhi deewar se is jag ko
upar uthana chahta hu mai
nihswarth prem ko is duniya ka
mul mantra banana chahta hu mai
har dil me pyar ka alakh jagana chahta hu mai
tere pyar ki khaatir aaj
apne junoon se aage jaana chahta hu mai
jeevan se pare tere pyar ki chhao me jeena chahta hu mai.........
"KUMAR"
10-04-10

No comments:

Post a Comment

Followers