TRANSLATE INTO

Sunday, April 18, 2010

tum hi to ho............

tum the bas tumhi to the
chand lafzo me kya kahu
ki kya the tum
andheri kaali syah raato me
tanha khud ko jalaane ka bahana the tum

ek arse se khaamos
palko me chhupaa rakha tha jise humne
wo najrana the tum
waqt ki gehraiyo me ghum
koi hansi fasana the tum

mere khwabo ki haqiqat the tum
ya koi khwab anjaana the tum
kisi aur ki khwahish the tum
ya meri hi apni tamanna the tum

thakkar jindagi ki in raaho se
jis god me sar rakhkar
mai pehro sukun ki neend sota
wo sirahna the tum

mai jis kaandhe pe sar rakhkar
jee bhar kar ro sakta
jo mujhe dhadas bandhata
wo mehfuj thikana the tum

meri hansi meri khusi
mere aansu mere jajbat the tum
meri aankho me meri palko pe
mere sapno me meri har baat me the tum.......
"KUMAR"
18-04-10

No comments:

Post a Comment

Followers