TRANSLATE INTO

Wednesday, April 14, 2010

rishte............

chand faasle jo rishto ke darmiya reh jaate hai
jinhe tay karne me logo ki umre beet jaati hai
waqt lamha dar lamha yu hi gujar jaata hai
aur har rishtey ki ek alag kahani ban jaati hai
kai rishte aise more par aakar fans jaate hai
ki gaanthe khulne me doriya bhi tut jaati hai
kuchh rishte jinka safar ungli thaam kar suru kiya jaata hai
kuchh lamhe jinhe bas ek baar jiya jaata hai
kuchh baatein jo khwabo se bhi jyada sanjida hoti hai
yaad aakar aksar humko rula jaati hai
kuchh rishte jinme kahi koi faasla nahi hota
kuchh khaamos aankhien jo chuppi me hi sab keh jaati hai
kuchh rishte kuchh ehsaas ek sapne sarikhe hote hai
to kuchh kadwi sachchhai risthe ki buniyade hila jaati hai
kuchh beete shikwe labo pe muskaan bikher jaate hai
to kabhi ateet ka koi hansi lamha aankho ko nam kar jaata hai
sab jaante hai in rishto ki sachchhai ko
par apni bhawnao par kaha koi jor rakh pata hai
lakh roko jajbato ko par aankhien sab keh jaati hai
aur fir ye kahaniya kabhi rote rote hansati hai to kabhi hanste hanste rula jaati hai
"KUMAR"
14/4/10

1 comment:

  1. thiss is realy vry touching..sachi yaar..realy vry nice...

    ReplyDelete

Followers