TRANSLATE INTO

Sunday, April 11, 2010

MAAERI....................................

maaeri meri raatien ab bhi jalti rehti hai
tere intezaar me tanha gujarti rehti hai
ek aas lagi hai ab bhi dil me
tabhi to aankhien ab bhi teri raah takti rehti hai
lakh samjhata hu dil ko
par samajhna kaun chahta hai
ye jaanta hai ki tum wapas na aaogi
par khud ko samjhana kise aata hai
chahta hu ki koi aakar samjhaye meri aankho ko
jo har pal tera intezaar karti hai
par kaun aakar samjhayega in labo ko
jo aansuo ki baaris ke baad bhi pyasi rehti hai
kise hai itni fursat ki mujh pagal ko samjhayega
matlab ki is duniya me kaun mere zakhmo ko sahlayega
kaun samjhaye meri madhosh najro ko
jo begano ki bheed me tujhe dhundha karti hai
kaun samjhaye meri baawri aankho ko
jo har raat tera intezaar karti hai..............
"KUMAR"
n/a

No comments:

Post a Comment

Followers