TRANSLATE INTO

Tuesday, April 20, 2010

tu hogi mere dil ki raani.........

sukh gayi hai aankhien
sukh chuki hai man ki wo daali
mit gayi wo chahat ki bagiya
jis baag ke the tum maali
aankho me aansu rah gaye
aur rah gaya hai dil ye sawali
khamosh hai ye jubaa
aur bolne ko hai ab khamoshi
ye rukhi sard bayar
aur shaswat yaad tumhari
mil kar bichadne ki wo
ghadi dukhdayi
in chand ghadiyo me humne
saari yaadie hai dohrayi
yaado ki bujhti raakh ne
uljhayi baatien saari
na kabile bayan hai
ab to halat ye hamari
us allah ke sajde me jab bhi jhukta hai ye sar
maangte hai hum salamati tumhari
kabhi jo hongi tujhse najre chaar
samajh jaaogi tum baatien saari
sulajh jaayengi uljhane tumhari
dur ho jaayenge saare gile shikwe
yaad aayenge pal wo bhule bisre
sayad
to dikh jaayega tujhe meri aankho ka paani
yaad aayengi tujhko chand baatein purani
sayad puri hogi tab ek adhuri kahani
ban jaaunga mai tere dil ka sehjada
aur to hogi mere dil ki raani...........

"KUMAR"
19-04-10

2 comments:

  1. bahut aacha dr anand.....keep on writting...and smiling...my best wishes is always with you

    ReplyDelete
  2. bohat acchi hai dr sahib,but kuch words mujhe samjh nahi aaye..

    ReplyDelete

Followers