apna mulk ho sabse aage
har dil ki ye hasrat hai
unmukt gagan me le jaau watan ko
har dil ki ye chahat hai
kuchh karu aisa ki yeh watan
apni maati ki karmathta par fule
kuchh karu aisa ki log
hamari mehnat ko kabhi na bhule
kya hua jo hum gareeb hai
ab bhi humme himmat hai
unmukt gagan me le jaau watan ko
har dil ki ye chahat hai
buland hai hum sab ka housla
par naa jaane kyun"sone ki chidiya aahat hai"???
kisse puchhu kaun batayega
kyun aakhir kyun "sone ki chidiya aahat hai"??
"KUMAR"
18-04-10
No comments:
Post a Comment