TRANSLATE INTO

Monday, April 19, 2010

inayat..........

kahne ko to tujhse
dil me hai bahut si baatein
magar mehsus hoti aaj mujhe
lafzo ki kami si hai
tere saath hai ye aankhien
par phir bhi inme ek
anchahi nami si hai

naa jaane tujhse ye
kaisa rishta hai mera
ki mai tere saath hu
par saath mere tanhai hai
jab bhi sochta hu
naam is rishtey ka
dil se nikalti bas
ek hi duhai hai
ki koi kya naam dega
is rishtey ko
jisme bhawnao ki
itni gehrayi hai
sab kuchh khokar
hasne wali ye aankhien aaj
tujhe paane ke ek
ehsaas se bhar aayi hai

badi himmat se
bade naajo se
maine dil ki baato ko
kore kagaj pe utara hai
chura kar kuchh behtarin
rang khyalo ke
maine in alfazo ko sanjoya hai
jod kar lamha lamha
apne khwabo ko
maine is aasar ko
tere liye sanwara hai

kabhi khwabo me to
kabhi khyalo me
tere ab mera har lamha gum hai
par naajaane kyu
ab ye mera dil
teri najro ki inayat se mehroom hai

"KUMAR"
19-04-10

No comments:

Post a Comment

Followers