TRANSLATE INTO

Wednesday, May 26, 2010

sach......

yu hi raaho me chalte chalte
kab kaun kaha mil jaaye
kise pata hota hai kab
raashte manjilo me dhal jaaye

kya pata kab koi begana
kisi apne ki bhaati
anchahe hi man ko bhaa jaye
kya pata kab kaun apna
begano sa pes aaye

aksar muskilo me
apne bhi saath chhod jaate hai
par yeh mumkin bhi to nahi
ki har muskil me kisi ka saath nibhaya jaaye

galtiya har insaan se hoti hai
par ye kaha tak jayaz hai ki
kisi ki ek khataa ki khaatir
usse taumra nafrat ki jaaye
jab hum khud ko apni
galtiyo ki saja na de paaye
to kyu kisi aur ko
dosi thehraya jaaye
"KUMAR"
26/05/2010

Saturday, May 1, 2010

aishwarya..............................................

aish tum bollywood ki dhadkan ho
kabhi chanda ho kabhi chilman ho
chandni bahri koi raat ho
ya koi surila saaj ho

tum ho mandir me jalta diya
ya wo khubsurati jisne duniya ko jala diya
teri ye julf ghaneri ye kajrare naina
chand se roshan chehre pe mano ho koi gehna

tere deewano ki fehrist me duniya shaamil hai
dont smile teri muskaan badi kaatil hai
"KUMAR"

AISHWARYA..........................

aasma se aakar
farishto ne jise banaya hai
jis najni ko hamne
palko pe bithaya hai

rang rup ki hai raani jo
dukh se hai anjaani wo
saara jahaa chahta hai jisko
aishwarya ki hai devi jo

jinke aane se hoti hai mehfile roshan
jiske abhinaya se bandhta hai emotion
us sa na koi duja ho
us saundarya ki har ghar me puja ho

fans ke hos udana hai kaam jinka
AISHWARYA ROY hai naam unka.........

"KUMAR"

chehra......


mat do mujhe naitikta ki sikh
ab mai naitikta bhul chuka hu
niti ke raah ko chhorkar
anaitikta ke daldal me doob chuka hu

mat do mujhe maryada ki saugandh
ab aur kaun yaha maryadit hai
maryada ke ullanghan me aaj
har insaan anandit hai

mat do mujhe dharma ka waasta
maine majhab ka badsurat chehra dekha hai
humko maloom hai kis tarah
majhab ne dilo ko baat rakha hai
"KUMAR"

mai benajir pakistan aayi thi.............


though BENAJIR died but still her approach for a new pakistan will never die..someday there will be a better pakistan. the PAKISTAN she had dreamed.
ye aasar BENAJIR ke us khwab ko samarpit hai jo unhone sambhavatah pakistan ke liye dekhe honge. ek PAK-STHAN jo logo ke khwabo me basega............

mera ghar pakistan hi tha
fir bhi mai yaha punarwaas ko aayi thi
bahut ho chuka tha jungleraaj
mai loktantra ka diwaswapn layi thi

khatm hoga ek din ye aatank
sabko ye vishwas dilane aayi thi
mar chuka tha sabke andar ka insaan
mai us insaan ko jilane aayi thi

inhi sapno ke saath
bakhtawar bilawal aasifa jaise apno ke saath
mai BENAJIR pakistan aayi thi

aapko aapke sapno ka pak sthan dilane
mai BENAJIR pakistan aayi thi


"KUMAR"

Followers