yu hi raaho me chalte chalte
kab kaun kaha mil jaaye
kise pata hota hai kab
raashte manjilo me dhal jaaye
kya pata kab koi begana
kisi apne ki bhaati
anchahe hi man ko bhaa jaye
kya pata kab kaun apna
begano sa pes aaye
aksar muskilo me
apne bhi saath chhod jaate hai
par yeh mumkin bhi to nahi
ki har muskil me kisi ka saath nibhaya jaaye
galtiya har insaan se hoti hai
par ye kaha tak jayaz hai ki
kisi ki ek khataa ki khaatir
usse taumra nafrat ki jaaye
jab hum khud ko apni
galtiyo ki saja na de paaye
to kyu kisi aur ko
dosi thehraya jaaye
"KUMAR"
26/05/2010
No comments:
Post a Comment