TRANSLATE INTO

Thursday, November 4, 2010

Zindegi

suraj ugta hai
ab madhushala se
aur doob jaata
hai paimane me
lamha lamha jindagi ka
gujar raha hai ab
maykhane me
ek adad aashiyana bhi
na raha ab to apna
thikana dhundhta hu
ab mai neele shamiyane me
umra ye beet gayi
teri khwahish me
ek jindagi aur beet jaayegi
shayad tujhko bhulaane me
sharaab ke alawa
koi apna na raha
is jamaane me
shukra hai madhushala hai yaha
warna ye nasha bhi
teri tarah tanha chhor jata
abhi to tu ghum hui hai
maikhane ke bina
mai gumnaam ho jaata....
"KUMAR"

No comments:

Post a Comment

Followers